Menu
blogid : 11130 postid : 3

Maa..ek atulniya rachna

antardwand
antardwand
  • 43 Posts
  • 141 Comments

maa ek esa shbd jo aatma me matritwa ki bhawna bhar deta he ..maa jesa koi nhi he vo dhra he uski sahanshakti atulniya he.tabhi to bhagwan ne bhi ek bachche ko janm dene ke liye aourat ko hi chuna he yah karya or koi nhi kar sakta ..maa khud taklif sahkar ek bachche ko janm deti he ,,ek nanhi jaan ko jeevandan deti he jo ye duniya dekhta he..khud apni neend khokar bhachche ko sulati he ,khud bhukhi rahkar bachche ko khilati he..maa ka koi mol nahi he vo to anmol he .jo ek maa kar sakti he vo dusra koi nhi kar sakta.vah atulniya he..kahte he ki jab ek aourat bachche ko janm deti he to apna kafan sath me rakhkar deti he..socho kitna kathin karya he ye ..jo koi nhi kar sakta..maa pyaar ki murti he..daya ka sagar he…shmasheel he…maa sab kuch he..kahte he ki gunge (jab bachche bolna nhi janta) ki bhasha maa hi samajh sakti he ..bachche ko kab bhukh lagi he ya pyaas lagi he ya use kya chahiye…vo bachche ke liye sab kuch kar sakti he jo shayd hi koi or kar sake…bina kisi apeksha ke vo apni aoulad ke liye sab kuch karti he..use to ye bhi nhi pta hota ki yhi bachcha bda hokar use sukh dega ya dukh dega..bilkul niswarth bhawna se vo bachche ko palti he..isiliye hme maa ke is upkar nhi bhulna chahiye ki jisne tumhe ye duniya dikhai is duniya me lai..us duniya ki mayavi chizo ke liye tum apni janni ko bhul jao…uska upkar to tum markar bhi nhi bhula sakte ,isiliye use sukh to aadar do.pyaar do..uske aagyakari bno,jiski vo haqdar he…vo tumse sona-chandi nhi mangti kewal tumhare dil me apne liye thodi si jagah mangti he…vo bhi agar tum de sako to..tumhare sukh ke liye to vo ise bhi chod degi.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply