Menu
blogid : 11130 postid : 9

AAJ KI NARI

antardwand
antardwand
  • 43 Posts
  • 141 Comments

priya pathko sadar namaskar..mera aaj ka vishya un aourato se juda he jo kahi na kahi purusho dwara pertadit ki gai he..
Is purush-perdhan smaj me aourat ka rehna khaskar ek akeli aourat ka jiwan-yapan krna behad mushkil he..kahne ko aaj ham aadhunik yug me ji rahe he.lekin aourat ke liye is smaj ki paribhasha vhi he jo aaj se salo pehle hua karti thi shayd isiliye purane jmane me log nari ko ghar tak hi simit rakhte the ya unke liye ghunghat pertha aniwarya thi jo kafi jagho per aaj bhi he…iske piche hmari kutil mansikta nhi to or kya he? aaj aourat bahar to bhut dur ki baat he apne khud ke ghar me hi surkshit nhi he.aaj jmana badal chuka he,is mahngai ke dorr me nari ko bhi purusho ke sath kandhe se kandha milakar chlna padta he..vo ek or dayitwa uthane ke liye ghar se bahar nikli he lekin vo kitni surkshit he?..purusho ke liye to pristhitiya vesi hi he jesi pehli thi,lekin aourato ke liye badal chuki he.aaj aourat ghar ka kaam bhi karti he or bahar se aajivika ka prabandh bhi kar rahi he,lekin kitna apne aap ko surakshit mahsus karti he.ghar se bahar niklte hi use koi purush apni bahan,beti ya ma ke roop me nhi dekhta,is sachchai ko sabhi jante he.aal jis tarah se blatkar or chedkhani ke mamle samne aa rahe he usi-se aadhunik soch ka pta chlta he.ham kewal uper se hi aadhunik hone ka dikhawa karte he,jab nari ki baat aati he to hmari soch vhi dakiyanusi ho jati he..pati ke na rehne per to nari ke liye jivan jese abhishap ban jata he .ghar walo ki nazar hi uske prati badal jati to bahar walo ka kya kahna.lekin use apne bachcho ka bharan-poshan karne ke liye ghar se bahar jana padta he.lakho me koi virla hi sachche mann se uski madad karta he,nhi to sab bhukhe bhediye hi he.is kahne ko aadhunik or dakiyanusi smaj ki hi den ki aaj ki nari shayd achche insan ko bhi nhi pehchan sakti.kya is smaj me nari ko purusho ki tarah surkshit hokar jine ka haq nhi he.yha to bujurg aourato ko bhi nhi baksha jata.nari ko hi shayd is smaz ki esi tasveer badlni hogi..use khud hi apni surksha karni hogi,apne aap ko is smaj me rehne layak sakshm bnana hoga…

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply